Wednesday, January 31, 2007

Feelings

Jo ghar se dour hotay hain
Bohat Majbour hotay hain
Kabhie Baghoon mein sotay hain
Kabhie chup Chup ke rotay hain

Gharoon ko yaad kartay hain
To phir faryaad kartay hain
Mager jo beysahara hoon
Gharoon se bhi kinara hoon
Inhain ghar kaun deyta hai
Yeh khatra kaun leyta hai
Bari mushkil se ek kamra
Jahan koi nahin rehta
nagar se paar milta hai
bohat baykar mila hai
Phir do teen hum jaisay
Mila laytay hain sab paisay
aur aapas mein yeh kehtay hain
keh mil jul keh rehtay hain
Koi khana banay ga
koi jharoo Lagay ga
Koi Dhoay ga sab kapray
to rah lein ge baray sukh se
magar garmi bhari raatien
Tapis aalood saughatien
aur oper se ageeb kamra
ghutan aur habas ka pahra
Thakan se choor hotay hain
Sukoon se dour hotay hain
Bohat Ji chahta hai tab
Kay Maa ko bhaig de yaa rab
Jo apni gaud mein le kar
Humien thandi hawa de kar
Soladay neend kuch aisi
Kay Totay phir na ek pal bhi
Magar kuch bhi nahin hota
to kar letay hain samjota
Koi dil mein bilakta hai
Koi paharoon mein sulagta hai
Jab apna kaam kar ke hum
Palat tay hain hum to aakhien num
Makan wiran milta hai
Bohat bayjan milta hai
Khushi Madhum rehti hai
Fiza Magmoon rahti hai
Baray ranjoor kyun na hoon
Baray majboor kyun na hoon
Awail mein mahinay kay
Sab apnay khoon pasinay kay
Jo paisay jor letay hain
aur apnay Khat mein Likhtay hain
Hum apna Dhihaan rakhtay hain
Bari khushbakht ghariyaan hain
yahan Khushiyaan hi Khushiyaan hain

No comments: